dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe dur se takti rahi gardish-e-ayyam mujhe dal kar ek nazar pyar ki meri jaanib dost ne kar hi liya banda-e-be-dam mujhe kal sunenge wahi muzhda meri aazadi ka aaj jo dekh ke hanste hain tah-e-dam mujhe dekh leta hun andhere mein ujale ki kiran zulmat-e-shab ne diya subh ka paigham mujhe na to jine hi mein lazzat hai na marne ki umang un nigahon ne diya kaun sa paigham mujhe main samajhta hun mujhe daulat-e-kaunain mili kaun kahta hai ki wo kar gae badnam mujhe garche aaghaz-e-mohabbat ne diye hain dhoke liye jati hai kahin kawish-e-anjam mujhe tera hi ho ke jo rah jaun to phir kya hoga ai junun aur hain duniya mein bahut kaam mujhe