shauq-e-darbar mein milte rahe darbanon se

shauq-e-darbar mein milte rahe darbanon se
hum ne aankhon se na dekha jo suna kanon se

talab-e-mehr thi zahir mere armanon se
kah gaya ek hi qissa kai unwanon se

bazm ki shan ghati chaak garebanon se
jaane bhi dije khata ho gai na-danon se

mahw-e-didar hue hum to kisi ki na suni
nur aankhon mein jo aaya to gae kanon se

un ke aane ki khabar aai ilahi aamin
kash aankhon se bhi dekhun jo suna kanon se

qais-o-farhad ki taqlid hai aashufta-sari
aashiqi aam hui aise hi na-danon se

main samajhta hun mujhe aap ne mehman kiya
kyun taaruf na karaya gaya mehmanon se

sahab pahchan liye jate hain un ke aashiq
aarzuon se tamannaon se armanon se

kahin khuddaron ki wahshat ka pata chalta hai
aastinon se garebanon se damanon se

kabhi chhoton se bade kaam nikal jate hain
mel rakh bar-gah-e-husn ke darbanon se

dard-mandon pe zara rahm karo be-dardo
zabt-e-fariyaad ziyaada to nahin jaanon se

wo jo anjaan hain mahfil mein to apna bhi salam
hum bhi milte nahin is taur ke an-jaanon se

munh pe bikhra liye baal aap ne subhan-allah
dil-lagi dekh ke karte hain pareshanon se

ai safi' rang jo apna hai use kyun badlun
tohmaton se mujhe ab dar hai na buhtanon se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close