duniya ki jo KHushi thi wo gham se badal gai

duniya ki jo khushi thi wo gham se badal gai
shayad hayat ishq ke sanche mein dhal gai

duniya phiri phiri hai tumhaari nazar ke sath
tum kya badal gae ki khudai badal gai

rukh bijliyon ne mod liya su-e-ashiyan
aai hui bala mere gulshan se tal gai

di hai kisi ki yaad ne dastak kuchh is tarah
jaise saba qarib se aa kar nikal gai

meri khushi ki baat ka ab puchhna hi kya
meri har ek khushi to tere gham mein dhal gai

jis shai ko tum ne dekh liya iltifat se
wo shai tumhaare husn ke sanche mein dhal gai

wo khairiyat ke waste aaenge ghar mere
shayad isi sabab se tabiat sanbhal gai

kitna qawi junun ka hai rishta bahaar se
jab bhi bahaar aai tabiat machal gai

duniya ko khush jo dekha to main muskura utha
duniya ne jab khushi meri dekhi to jal gai

'gauhar' giran hai meri tabiat pe kaif-o-rang
han dekh kar khizan ko tabiat bahal gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close