noch kar phenk do baalon mein lagae hue phul kaam ke rahte nahin kaam mein lae hue phul main isi soch mein gum baitha hun sahil ke qarib kahan thahrenge samundar mein bahae hue phul is qadar gahra ta'alluq hai mera khushbu se sar pe rakh leta hun panw tale aae hue phul ek barik se kamre mein basera hai mera kahan rakkhunga tere hath ke lae hue phul ye hua un se mulaqat ka nuqsan mujhe mere hathon se nikalte hi parae hue phul wo mere pas se guzre hain bacha kar nazren aur main rah gaya hathon mein uthae hue phul jab wo yaad aate hain sawan ke dinon mein 'rahi' chum leta hun main barish mein nahae hue phul