jaan-lewa hai pyar ka saya aap ke intizar ka saya aur deta hai mere gham ko hawa ham-nashin gham-gusar ka saya ho rahi hai jo aaj dil mein chubhan pad gaya hoga khar ka saya janm deta hai nur walon ko tirgi ke hisar ka saya dard bhar de dilon mein logon ke hai sitamgar kahaar ka saya dur kar de qarib walon ko bartari ke khumar ka saya rukh badal de khizan ke mausam ka chhae jab bhi bahaar ka saya nam raushan kare zamane mein ilm-o-fan ke nikhaar ka saya shakhsiyat ko zalil karta hai jhute fan ke ghubar ka saya nur lae adab ki duniya mein ban ke suraj 'waqar' ka saya