dekh le jo aalam us ke husn-e-baala-dast ka hausla itna kahan apni nigah-e-past ka nist rahte hum to ye sairen kahan se dekhte ye faqat ehsan hai us zat-e-pak-e-mast ka be-sada aa kar laga aur ho gaya sine ke par ye khadang-e-saf tha kis be-nishan ki shast ka baat kuchh kahta hai aur nikle hai munh se kuchh 'nazir' ye nasha tujh ko hua kis ki nigah-e-mast ka