sab ko ruswa bari bari kiya karo har mausam mein fatwe jari kiya karo raaton ka nindon se rishta tut chuka apne ghar ki pahre-dari kiya karo qatra qatra shabnam gin kar kya hoga dariyaon ki dawe-dari kiya karo roz qaside likkho gunge bahron ke fursat ho to ye begari kiya karo shab bhar aane wale din ke khwab buno din bhar fikr-e-shab-bedari kiya karo chand ziyaada raushan hai to rahne do jugnu-bhayya ji mat bhaari kiya karo jab ji chahe maut bichha do basti mein lekin baaten pyari pyari kiya karo raat badan-dariya mein roz utarti hai is kashti mein khub sawari kiya karo roz wahi ek koshish zinda rahne ki marne ki bhi kuchh tayyari kiya karo khwab lapete sote rahna thik nahin fursat ho to shab-bedari kiya karo kaghaz ko sab saunp diya ye thik nahin sher kabhi khud par bhi tari kiya karo