dekh lo ek nazar mein kuchh bhi nahin sach kaha hai bashar mein kuchh bhi nahin shaikh kuchh apne-ap ko samjhen mai-kashon ki nazar mein kuchh bhi nahin kuchh na hone pe ho tumhin sab kuchh tum nahin ho to ghar mein kuchh bhi nahin kya samajhta hai aap ko ai dil tu kisi ki nazar mein kuchh bhi nahin ai 'sharaf' sach hai misra-e-'misbah' hum to apni nazar mein kuchh bhi nahin