piya jo zahr-e-gham-e-zist angbin ki tarah nikhar gaya hun kisi ru-e-asman ki tarah mere wajud ke sahra-e-shab-zada pe ye kaun kiran bikherta rahta hai mah-jabin ki tarah main apni zat mein mahbus ho ke baith raha bikharta kash teri zulf-e-ambarin ki tarah hui hai khak se meri numud mein bhi yahan asir-e-gardish-e-haalat hun zamin ki tarah main apne zahir-o-baatin mein ek jaisa hun farakh dil bhi hai mera meri jabin ki tarah main gham ki aag mein khawar na jal ke rakh hua wagarna main bhi chamakta kisi nagin ki tarah