jism-e-be-sar koi bismil koi fariyaadi tha hashr-samaniyan thin manzil-e-jaanan ke qarib zau-fishan shams tha par us ko khajil hona pada un ka husn aa gaya jab mehr-e-darakhshan ke qarib ashk ban ban ke jo chamka tha ufuq par barson wo sitara nazar aaya tere mizhgan ke qarib taer-e-ruh ne parwaz ki dekh ai sayyaad tu gaya le ke qafas jab dar-e-zindan ke qarib main to samjha tha nasheman bhi jala khair hui barq jab kaund ke aai thi gulistan ke qarib aatish-e-ishq bujhae na bujhi ta-ba-lahad bhadki daman se to pahunchi ye gareban ke qarib bu-e-gul daud ke sadqe hui gesu pe 'zahir' aap aae jo kisi din chamanistan ke qarib