duniya mein koi dil ka kharidar na paya sab dekhe dil-azar hi dildar na paya kab ghair ko ham-rah tere ai yar na dekha tujh gul ko kabhi hum ne to be-khar na paya tujh rukh se na burqa utha ai ghairat-e-khurshid zarra tera mushtaqon ne didar na paya hum sar hi patakte rahe darwaze ke bahar par ghar mein tere aana kabhi bar na paya kis se kahun apna gham-e-dil aah azizan duniya mein koi munis-o-gham-khwar na paya har tarah gale pad ke diya hum ne tujhe dil jab tujh sa yahan koi tarah-dar na paya dekh us ki hui aisi ze-khud-raftagi tujh ko kal aap mein main tujh ko 'jahandar' na paya