fitna-parwar hai fitna-za hai jhut har burai ki ibtida hai jhut jhut mano na tum kaha mera munh pe jhute ke khelta hai jhut nam rakkha hai us ka policy kaisa maqbul ho gaya hai jhut jo qasam baat baat par khae jaan lo tum ye bak raha hai jhut pa nahin sakta hai darogh farogh kya buzurgon ne ye kaha hai jhut sanch ko aanch tak na pahunchegi lakh duniya mein chal raha hai jhut bach ke jhute se chahiye rahna parda-e-makr aur dagha hai jhut jhut ko jhut gar kaha hum ne tum hi kah do ki is mein kya hai jhut kanp uthta hai ai ata iman jab koi shakhs bolta hai jhut