jis ki sifat qahr-o-ghazab ke siwa nahin waiz ka wo khuda hai hamara khuda nahin chaaragari ka karte the dawa bahut magar tum se ilaj-e-dard-e-mohabbat hua nahin kya jaane ab ke aai hai kaisi ye fasl-e-gul pahli si wo chaman ki moattar faza nahin ai charkh tu ne sare jahan ko kiya tabah afsos tere hathon se koi bacha nahin bahr-e-alam mein roz hai tufan ka samna tuti hai naw past magar hausla nahin bhule se bhi na karna zamane ka eatibar sab kuchh hai is jahan mein lekin wafa nahin kashti ko khauf kya ho talatum ka ai 'riyaz' hafiz mera khuda hai agar nakhuda nahin