karwaTen lene do farsh-e-KHak par naKHchir ko

karwaten lene do farsh-e-khak par nakhchir ko
be-dhadak ho kar nikalo tum jigar se tir ko

wasl ki lazzat uthane dijiye nakhchir ko
tir se dil ko na dil se dur kije tir ko

ye hamara hai jigar ye hai hamara hausla
khun-e-dil se palte hain hum tumhaare tir ko

jalwa-farma dil mein tum bhi ho tumhaari yaad bhi
dekh lo pahle kaleja phir lagana tir ko

ho gaya nawak khata hai sharm se nichi nazar
lao hum rakh len kaleje mein tumhaare tir ko

aa ke lipta hai mere sine se kis ulfat ke sath
tum se badh kar ba-wafa paya tumhaare tir ko

chum kar aaya hai ye dast-e-hinai aap ka
kyon na rakkhun main kaleje se laga kar tir ko

zindagi bhar ko khalish ka lutf paida kar diya
tum hi bolo kya du'aen dun tumhaare tir ko

surkh ho jaen na fart-e-nazuki se ungliyan
kyon nikalo dil se tum rahne do dil mein tir ko

kya 'ajab ghul-mil gaya ho hasrat-o-arman ke sath
dhund lo tum khud hi aa kar dil mein apne tir ko

dil ko taka hai to behtar hai magar apni tarah
chutkiyan lene ki 'adat to sikha do tir ko

dil to dil pahlu bhi cheda chhed kar mera jigar
kyon na paigham-e-ajal samjhun tumhaare tir ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close