sazishon ke daur mein mausam ne yun jakda hamein ain mumkin hai moarrikh bhi likhe andha hamein dosti ki ye zaruri shart ho jaise koi har qadam par doston ne de diya dhoka hamein jalte khemon mein hamari nasl rondi jaegi yaad rakkhegi hamare baad ye duniya hamein phir sunai de rahi hai har taraf ghodon ki top phir nawed-e-tishnagi dene lage dariya hamein aadmi hain hum nahin hain ped par 'sabir' 'raza' bantana hoga kadakti dhup mein saya hamein