khud se itni bhi adawat to nahin kar sakta ab koi mujh se mohabbat to nahin kar sakta kyun nibhaega wo paiman-e-wafa mujh se ki wo sari duniya se baghawat to nahin kar sakta go wo mujrim hai mera phir bhi kisi shakhs se main apne dilbar ki shikayat to nahin kar sakta do-ghadi sans to lene de mujhe ai gham-e-dahr koi har aan mashaqqat to nahin kar sakta khas hota hai kisi ka koi manzur-e-nazar koi har ek pe inayat to nahin kar sakta kaise likkhun main andhere ko ujala 'kashif' apne fan se main khayanat to nahin kar sakta