dekha tha kis nazar se tum ne hansi hansi mein ek dard-e-mustaqil hai ab meri zindagi mein kaba bhi but-kada bhi hai rah-e-bandagi mein ye manzilen hain kaisi dushwar aashiqi mein ai dost yaad un ki ab tak rula rahi hai do din jo mil gae the hansne ko zindagi mein ek baat par hamari uljhan mein pad gae tum duniya na jaane kya kya karti hai dosti mein jab hosh mein raha main chhupte rahe wo mujh se parde hata diye sab dekha jo be-khudi mein ai meri sham-e-furqat yun dil nahin bahalta kuchh aur raushni kar taron ki raushni mein manzil pe mujh ko la kar daman jhatak rahe ho yaad aaega mujhe ye ehsan zindagi mein daur-e-khizan se ab to bahla raha hun dil ko kanton mein phans gaya hun phulon ki dosti mein tu un ke samne ho wo tere samne hon aisa bhi ek sajda 'arif' ho be-khudi mein