dil se be-sud aur jaan se kharab ho raha hun kahan kahan se kharab gham ki dahliz hai bhali kitni koi uthta nahin yahan se kharab main mera aks aur aaina ye nazara tha darmiyan se kharab khud ko tamir karte karte main ho gaya hun yahan wahan se kharab raushni ek haqir tare ki aa gai ho ke kahkashan se kharab zer-e-lab rakh chhupa ke nam us ka lafz hote hain kuchh bayan se kharab ek muddat se hun main munkir-e-ishq aa mujhe kar de apni han se kharab rang nikhre hain phir wahin pe 'bakul' meri taswir thi jahan se kharab