dekha use dil-gir to dil-gir hua main kis dard ka rishta tha ki zanjir hua main jis khak ka paiwand hue nauhagar-e-harf us khak ki tasir se iksir hua main ai baad-o-tar-o-taza mujhe ghaur se padh le qirtas-e-pazirai pe tahrir hua main kis hairat-e-aina ke nakhchir hain donon taswir hua wo kabhi taswir hua main sau bar jo andar se main tuta hun to ek bar bahar se nazar aaya ki tamir hua main jo main ne kabhi nind mein dekha hi nahin tha dukh ye hai ki us khwab ki tabir hua main kis hijr se guzra hun ki be-sakhta 'mohsin' laila-e-tamanna se baghal-gir hua main