khirad walo junun walon ke viranon mein aa jao dilon ke bagh zakhmon ke gulistanon mein aa jao ye daman o gareban ab salamat rah nahin sakte abhi tak kuchh nahin bigda hai diwanon mein aa jao sitam ki tegh khud dast-e-sitam ko kat deti hai sitam-rano tum ab apne aza-khanon mein aa jao ye kab tak sard lashen be-hisi ke barf-khanon mein charagh-e-dard se raushan shabistanon mein aa jao ye kab tak sim-o-zar ke jangalon mein mashk-e-khun-khwari ye insanon ki basti hai ab insanon mein aa jao kabhi shabnam ka qatra ban ke chamko lala-o-gul par kabhi dariyaon ki surat bayabanon mein aa jao hawa hai sakht ab ashkon ke parcham ud nahin sakte lahu ke surkh parcham le ke maidanon mein aa jao jarahat-khana-e-dil hai talash-e-rang-o-nikhat mein kahan ho ai gulistano garebanon mein aa jao zamana kar raha hai ehtimam-e-jashn-e-bedari gareban chaak kar ke shoala-damanon mein aa jao