ye aankhen rah takti hain tumhein ye man bulata hai chale aao tumhein suna mera aangan bulata hai barasti roz hain aankhen ye barish hi nahin rukti tumhein bhige hue ashkon ka ye daman bulata hai jahan pengen badhate the shajar wo yaad karte hain wo jhule puchhte hain ab tumhein sawan bulata hai gulistan jab se ujda hai bahaaren bhi nahin lautin faza aawaz deti hai tumhein upwan bulata hai dar-o-diwar aur rahen sabhi sadme mein rahte hain sanwarte the jahan pahle wahi darpan bulata hai chale aao ki ab tanhaiyan jine nahin detin tumhein ujde hue dil ka ye suna-pan bulata hai