dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de ek aadmi to shahr mein aisa dikhai de ab bhik mangne ke tariqe badal gae lazim nahin ki hath mein kasa dikhai de neze pe rakh ke aur mera sar buland kar duniya ko ek charagh to jalta dikhai de dil mein tere khayal ki banti hai ek dhanak suraj sa aaine se guzarta dikhai de chal zindagi ki jot jagae ajab nahin lashon ke darmiyan koi rasta dikhai de kya kam hai ki wajud ke sannate mein 'zafar' ek dard ki sada hai ki zinda dikhai de