main zindagi ka naqsha tartib de raha hun phir ek jadid khaka tartib de raha hun har saz ka tarannum yaksaniyat-numa hai ek taza-kar naghma tartib de raha hun jis mein teri tajalli khud aa ke ja-guzin ho dil mein ek aisa gosha tartib de raha hun lamhon ke silsile mein jita raha hun lekin main apna khas lamha tartib de raha hun kitne ajib qisse likkhe gae abhi tak main bhi anokha qissa tartib de raha hun zarron ka hai ye tufan be-chehragi ba-daman zarron se ek chehra tartib de raha hun duniya ke sare rishte be-mani lag rahe hain khaliq se apna rishta tartib de raha hun pur-pech raston par chalta hua 'zafar' main sidha sa ek rasta tartib de raha hun