in ki nazron mein na ban jae tamasha chehra is liye darta hun dikhlane se apna chehra jaane kya baat hui shahr-e-nigar-e-jaan mein aaj kyun ajnabi lagta hai shanasa chehra bahr-e-gham bhi hai kabhi aashiq khasta ke liye hai kabhi sahil-e-ishrat bhi tumhaara chehra hum wahan hain jahan qaem hai hukumat dil ki phir bhi kyun roz dikhata hai karishma chehra chehra-e-husn ko ab dekh ke ye sochta hun aaina hai koi ya aaina-khana chehra kya rahe dil ki koi baat muamma ban kar karta rahta hai yahan dil ka fasana chehra kaun hai jis ke liye itna pareshan hai dil dhundhta rahta hai ab kis ko wo chehra chehra kushta-e-gardish-e-dauran hue uf ri taqdir warna kal chand se behtar tha hamara chehra wo tere phul se din mujh ko bahut yaad aae main ne dekha jo tera dhup mein jhulsa chehra chashm-e-mushtaq za-sar ta-ba-qadam main bhi hun ban gaya hai jo tera husn sarapa chehra mehrban kaun mere dil pe hai itna ai 'zafar' har ghadi rahta hai aankhon mein ye kis ka chehra