dekhi hai main ne ye bhi nairangi-e-zamana insaf ki rida mein andaz-e-zalimana kitne hasin din the anjaan the jahan se aata hai yaad ab wo guzra hua zamana tere hi dam se yarab aabaad hai ye duniya hai bas yahi haqiqat baqi jo hai fasana koi nahin dikhata ab to hunar-shanasi uthti hai jo nazar bhi hoti hai naqidana kitna hasin tera andaz-e-guftugu hai ji chahta hai likh dun tujh par koi fasana tum kya gae ki duniya maghmum lag rahi hai ab zindagi ye mujh ko lagti hai qaid-khana