hum tashakhkhus kho rahe hain zat ki tashhir mein khud bikharte ja rahe hain koshish-e-tamir mein ye bhi sochen kash izzat kya hai aur zillat hai kya wo jo ruswa ho rahe hain hasrat-e-tauqir mein aaj nakhl-e-maslahat ki chhanw mein hai mahw-e-khwab parwarish jis ki hui thi saya-e-shamshir mein ai sukhnawar tum jo kahte ho wo kyun karte nahin kyun ham-ahangi nahin kirdar aur tahrir mein us ki subhen dil-kusha hain us ki shamen jaan-fiza kho gaya jo shakhs lutf-e-nala-e-shab-gir mein ho ata jis shakhs ko nur-e-basirat ai 'jalal' dekh leta hai musawwir ko bhi wo taswir mein