sab samajhte hain ki hum kis karwan ke log hain phir bhi puchha ja raha hai hum kahan ke log hain millat-e-baiza ne ye sikha hai sad-ha sal mein ye yahan ke log hain aur wo wahan ke log hain khali paimane liye baithe hain rindan-e-kiram mai-kada un ka hai jo pir-e-mughan ke log hain in se mat puchho ki manzil tum se kyun chhini gai in ko mat chhedo ye mir-e-karwan ke log hain gul-faroshi se unhen hum rokne wale hain kaun hum chaman ke log hain wo baghban ke log hain apne dushman se hamein 'iqbaal' koi dar nahin un se be-shak khauf hai jo darmiyan ke log hain