dekhiye kya kya sitam mausam ki man-mani ke hain kaise kaise khushk khitte muntazir pani ke hain kya tamasha hai ki hum se ek qadam uthta nahin aur jitne marhale baqi hain aasani ke hain wo bahut saffak si dhumen macha kar chal diya aur ab jhagde yahan us shakhs-e-tufani ke hain ek adam-tasir lahja hai meri har baat ka aur jaane kitne pahlu meri virani ke hain us ki aadat hai ghire rahna dhuen ke jal mein us ke sare rog ek andhi pareshani ke hain