kuchh parindon ko to bas do chaar dane chahiyen

kuchh parindon ko to bas do chaar dane chahiyen
kuchh ko lekin aasmanon ke khazane chahiyen

doston ka kya hai wo to yun bhi mil jate hain muft
roz ek sach bol kar dushman kamane chahiyen

tum haqiqat ko liye baithe ho to baithe raho
ye zamana hai ise har din fasane chahiyen

roz in aankhon ke sapne tut jate hain to kya
roz in aankhon mein phir sapne sajaane chahiyen

bar-ha khush ho rahe hain kyun inhi baaton pe log
bar-ha jin pe unhen aansu bahane chahiyen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close