wo ek shakhs ki jo aaftab jaisa hai qarib aae to taza gulab jaisa hai khuda kare ki kabhi bhi na tutne pae ye tera mera milan ek khwab jaisa hai zara bhi tez hawa ho to kanp uthta hai wo khush-jamal to shakh-e-gulab jaisa hai kuchh aise lagta hai jaise guzar gain sadiyan teri judai ka mausam azab jaisa hai samay ke tez bagulon ki zad mein thahra hun mere wajud ka dariya habab jaisa hai teri jabin pe ibarat hai din-e-ishq 'niyaz' tera wajud muqaddas kitab jaisa hai