duniya mein koi waqt bhi yaksan kahan raha ranjur kar gaya to kabhi shadman raha suraj ke chadhne dhalne se sae badal gae apni jagah na dahr mein koi nishan raha shah-zor kal tha aaj wo kamzor ho gaya aur bebasi mein mail-e-ah-o-fughan raha taqat kahin ata hai kahin mustaar hai rustam jo tha jahan mein kabhi na-tawan raha ho jae sard aatish-e-namrud aaj bhi lekin khalil sa yahan iman kahan raha baatil se marka raha roz-e-azal hi se har-gam khair-o-shar ka ajab imtihan raha do gaz zamin hai bil-yaqin tere nasib mein pahuncha ho chand par ya sar-e-asman raha duniya ne kab kisi ka diya sath umr bhar insan kab kisi pe sada mehrban raha marub us ko baatil-o-zulmat na kar sake iman se qalb-e-'faiz' yahan zau-fishan raha