dekhiye to khayal-e-kham mera aap se aur burai kaam mera kahin us bazm tak rasai ho phir koi dekhe ehtimam mera shab ki baaton par ab bigadte ho aankh utha kar to lo salam mera nam ek but ka lab pe hai waiz hai yahi wird subh o sham mera ghair yun niklen us ki mahfil se jis tarah ai 'nizam' nam mera