waqar de ke kabhi be-waqar mat karna hamein khuda ke liye sharmsar mat karna nikalna jab kabhi le kar charagh basti mein andhere ghar bhi milenge shumar mat karna usi ka aaj bhi hum intizar karte hain jo kah gaya tha mera intizar mat karna ye mana aaj zamana hai bewafai ka magar tum aisa chalan ikhtiyar mat karna safar ke mare hue aasman ke panchhi sukun se baithe hain un ka shikar mat karna dil iztirab ki had se guzar gaya ai dost naya ab aur koi mujh pe war mat karna kahin bikhar ke na rah jae gham fazaon mein qaba-e-ghuncha-e-dil tar-tar mat karna meri khata ko karam ki rida udha dena mujhe zamane ki nazron mein khwar mat karna jab ikhtilaf mein sar ko uthae hon maujen to ai 'guhar' kabhi dariya ko par mat karna