dil ke kahne pe chalun aql ka kahna na karun main isi soch mein hun kya karun aur kya na karun zindagi apni kisi tarah basar karna hai kya karun aah agar teri tamanna na karun majlis-e-waz mein kya meri zarurat naseh ghar mein baitha hua shughl-e-mai-o-mina na karun mast hai haal mein dil be-khabar-e-mustaqbil sochta hun use hushyar karun ya na karun kis tarah husn-e-zaban ki ho taraqqi 'wahshat' main agar khidmat-e-urdu-e-mualla na karun