dekhne ke liye ek shart hai manzar hona dusri shart hai phir aankh ka patthar hona wahan diwar utha di mere memaron ne ghar ke naqshe mein muqarrar tha jahan dar hona mujh ko dekha to falak-zad rafiqon ne kaha is sitare ka muqaddar hai zamin par hona bagh mein ye nai sazish hai ki sabit ho jae barg-e-gul ka khas-o-khashak se kam-tar hona main bhi ban jaunga phir sahar-e-hawa se kashti raat aa jae to phir tum bhi samundar hona wo mera gard ki manind hawa mein udna phir usi gard se paida mera lashkar hona dar-ba-dar thokaren khain to ye malum hua ghar kise kahte hain kya chiz hai be-ghar hona kaisa girdab tha wo tark-e-talluq tera kaam aaya na mere mera shanawar hona tum to dushman bhi nahin ho ki zaruri hai 'salim' mere dushman ke liye mere barabar hona