haalat ke qadmon pe qalandar nahin girta tute bhi jo tara to zamin par nahin girta girte hain samundar mein bade shauq se dariya lekin kisi dariya mein samundar nahin girta samjho wahan phaldar shajar koi nahin hai wo sahn ki jis mein koi patthar nahin girta itna to hua faeda barish ki kami ka is shahr mein ab koi phisal kar nahin girta inam ke lalach mein likhe madh kisi ki itna to kabhi koi sukhan-war nahin girta hairan hai kai roz se thahra hua pani talab mein ab kyun koi kankar nahin girta us banda-e-khuddar pe nabiyon ka hai saya jo bhuk mein bhi luqma-e-tar par nahin girta karna hai jo sar marka-e-zist to sun le be-bazu-e-haidar dar-e-khaibar nahin girta qaem hai 'qatil' ab ye mere sar ke sutun par bhaunchaal bhi aae to mera ghar nahin girta