usi ko dost rakha dusra banaya nahin kai banate hain main ne khuda banaya nahin ye basti raat ka kis tarah samna karegi yahan kisi ne bhi din mein diya banaya nahin pata karo ki ye naqqash kis qabil ka hai parinda jab bhi banaya riha banaya nahin ye log zulm kama kar shab aise sote hain khuda ne jaise ki roz-e-jaza banaya nahin lahu bhi jalta hai jhadti hai khak bhi meri ki sher utarta hai lekin bana-banaya nahin wo mehrban hai magar bhulta nahin mujh ko wo ek kaam jo us ne mera banaya nahin udas dekha nahin jata koi mujh se 'aqil' kisi ko is liye haal-ashna banaya nahin