dekho us ka hijr nibhana padta hai wo jaisa chahe ho jaana padta hai sunte kab hain log hamein bas dekhte hain chehre ko aawaz banana padta hai in andhe aur bahre logon ko sain hone ka ehsas dilana padta hai abhi hamare andar aag nahin bhadki abhi hamein cigarette sulgana padta hai kuchh aankhen hi aisi hoti hain jin ko koi na koi khwab dikhana padta hai is duniya ko chhod ke jis mein tum bhi ho jata kaun hai lekin jaana padta hai kuchh phulon ki khatir bhi kuchh phulon ka sab se achchha rang churana padta hai