dekhta bhi hai dekhta bhi nahin jaise wo mujh ko jaanta bhi nahin kis tarah aaj khud ko pahchanun mere ghar mein to aaina bhi nahin dhak thi sare shahr mein jis ki ab use koi puchhta bhi nahin pichhe mudne mein khauf-e-ruswai aage jaane ka rasta bhi nahin roz khabron mein nam aata hai shahr mein koi jaanta bhi nahin ghair se puchhta hai haal mera main bulaun to bolta bhi nahin us ko nikla hun dhundne 'kausar' jis ka koi ata-pata bhi nahin