dhundhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe aap ne mahfil se uthwa kar kahan rakkha mujhe ai nigah-e-mast is ka nam hai kaif-e-surur aaj tu ne dekh kar meri taraf dekha mujhe yar se ho kar juda jaur-e-falak ka gham nahin ho chuki wo baat thi jis baat ki parwa mujhe sath bhi chhoda to kab jab sab bure din kat gae zindagi tu ne kahan aa kar diya dhoka mujhe