likh likh ke aansuon se diwan kar liya hai apne sukhan ko apni pahchan kar liya hai aakhir hata din hum ne bhi zehn se kitaben hum ne bhi apna jina aasan kar liya hai duniya mein aankhen kholi hain mundne ki khatir aate hi lautne ka saman kar liya hai sab log is se pahle ki dewta samajhte hum ne zara sa khud ko insan kar liya hai jin nekiyon pe chal kar ajdad kitne khush the hum ne unhi pe chal kar nuqsan kar liya hai har bar apne dil ki baaten zaban pe la kar hum ne musibaton ko mehman kar liya hai aksar hua hai marne ki mang kar duaen phir hum ne zindagi ka arman kar liya hai ek dil ke tutne par rota hai koi itna jhonke ko khud hamin ne tufan kar liya hai socha bhi hai ki dana banne ki koshishon mein kya haal apna tu ne nadan kar liya hai kuchh is tarah guzara hai zindagi ko hum ne jaise ki khud pe koi ehsan kar liya hai