dekhte dekhte jab maut sitare ki hui phir koi subh kahan khwab ke mare ki hui wo muhajir tha muhajir ka muhajir hi raha kab tere shahr mein tadbir guzare ki hui us ke farman sabhi dil ki siyahi ne likhe aisi tauhin kahan nur-nazare ki hui bujhte bujhte bhi hui aatish-e-jaan tez bahut aur jo rasm thi baqi wo sharare ki hui zindagi bhi kisi bazar ki aurat ki tarah na biyahe ki hui aur na kanware ki hui kya sunaun tujhe rudad-e-safar kaisi hai dhup aamad ki hui chhanw khasare ki hui yun to wo chand bhi be-dagh nahin tha 'khurshid' aur mujh se bhi khata ek ishaare ki hui