mujhe koi aisi ghazal suna ki main ro padun zara jai jai winti ke sur laga ki main ro padun mere zabt tujh ko meri taraf se ye izn hai mera aaj itna to dil dukha ki main ro padun ye jo khak odh ke so rahi hai meri hansi yun bilak bilak ke use jaga ki main ro padun mere khud-kushi ke khayal par mere haal par meri bebasi mujhe yun hansa ki main ro padun tujhe ilm hai mera koi tere siwa nahin mujhe aa ke aise gale laga ki main ro padun main jahan-e-surkh mein sabz-posh charagh hun meri lau ko itna na aazma ki main ro padun mera bakht mera nasib tujh se chhupa nahin mujhe de tu aisi koi dua ki main ro padun ye jo ishq ki siyah shaal hai ye wabaal hai use yun na dekh ke muskura ki main ro padun meri aankhen ab bhi teri gali mein hain khema-zan faqat ek bar unhen dekh ja ki main ro padun mera nam tu ne rakha tha 'wasif'-e-na-tamam isi nam se mujhe phir bula ki main ro padun