ek jafa-ju se mohabbat ho gai hae ye kaisi himaqat ho gai ho gaya jis par masiha mehrban band us ke dil ki harkat ho gai aa gai un ki jawani aa gai ho gai barpa qayamat ho gai ye tasawwur ki karishma-saziyan dekha jis shai ko wo aurat ho gai lije wo utthi nigah-e-iltifat lije takmil-e-himaqat ho gai jab nigah-e-naz kamsin ki uthi nannhi-munni ek qayamat ho gai jab hue wo mail-e-ahd-e-wafa badh ke mane un ki luknat ho gai kya kare bechaari duzdida nigah chori karna us ki fitrat ho gai ye inayat-e-musalsal al-aman duguni aur tiguni musibat ho gai munh lagi ummal-e-ahd-e-nau ke bhi kisi qadar gustakh rishwat ho gai main ne yun dil ko banaya aaina aaina-gar ko bhi hairat ho gai lakh zalim ne chhupae apne aib 'shauq' us ki phir bhi shohrat ho gai