tum ghairon se hans hans ke mulaqat karo ho aur hum se wahi zahr-bhari baat karo ho bach bach ke guzar jao ho tum pas se mere tum to ba-khuda ghairon ko bhi mat karo ho nashtar sa utar jawe hai sine mein hamare jab mathe pe bal dal ke tum baat karo ho taqwe bhi bahak jawen hain mahfil mein tumhaari tum apni in aankhon se karamat karo ho phulon ki mahak aawe hai sanson mein tumhaari moti se bikhar jawen hain jab baat karo ho hum ghairon ke aage tumhein kya haal bataen pas aa ke suno dur se kya baat karo ho kya kah ke pukarenge tumhein log ye socho 'iqbaal' pe tum zulm to din raat karo ho