dekhun hun yun main us sitam-ijad ki taraf jun said waqt zabah ke sayyaad ki taraf ne dana hum qayas kiya ne lihaz-e-dam dhans gae qafas mein dekh ke sayyaad ki taraf sabit na howe khun mera roz-e-baz-purs bolenge ahl-e-hashr so jallad ki taraf patthar ki lekh tha sukhan us ka hazar haif boli zaban-e-tesha na farhad ki taraf turra ke tere waste sad-chob-e-shan-a-dar qumri gai hai katne shamshad ki taraf 'sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah hona hai tujh ko 'mir' se ustad ki taraf