zakhm sine pe laga aankh se aansu nikle gham ki aahat se kai dard ke aahu nikle halqa-e-reg-e-rawan dasht ke dariya ka bhanwar wahshat-e-dil ke safine mein agar tu nikle bad-gumani ki nigahon se jo dekha hai tujhe teri har baat mein sau tarah ke pahlu nikle mahak utthe ye bayaban bhi gulistan ki tarah qaid-e-gulzar se aazad jo khushbu nikle is kadi dhup mein tha kis ko safar ka yara har qadam saya-kunan kakul-o-gesu nikle sehr gul-kari-e-ehsas ka bais hain 'nadim' dil mein jo tir gham-e-jaan ke taraazu nikle