ek qissa-e-tawil hai afsana dasht ka aakhir kahin to khatm ho virana dasht ka mujh ko bhi gharq bahr-e-tamasha mein kar diya ab had se badhta jata hai diwana dasht ka tawiz-e-ab ke siwa chaara nahin koi aaseb-e-tishnagi se hai yarana dasht ka tu ne shikast khai mahaz-e-qayam par ab sikka-e-safar mein de harjaana dasht ka hota nahin jo khali kabhi jam-e-aftab din bhar hi garm rahta hai mai-khana dasht ka ab zulmaton ka khauf nahin khak-e-shahr ki raushan hai sham-e-reg se kashana dasht ka aadab-e-munsifi se main waqif nahin 'hasan' shahr-e-khata mein karta hun jurmana dasht ka