der ho jaegi phir kis ko sunai doge dasht khud bol uthega to duhai doge ab to is parda-e-aflak se bahar aa jao hum bhi ho jaenge munkir to dikhai doge? ab asiran-e-qafas jaise qafas mein bhi nahin ab kahan hogi rihai jo rihai doge shamen raushan hain to kya aalam-e-be-chehragi mein tum koi bhi ho magar kis ko sujhai doge hum to izhaar ke qael the hamesha ki tarah kab tawaqqo thi ki nale ko rasai doge kya khabar thi meri mehnat ke sile mein tum bhi mere hathon mein ye kashkol-e-gadai doge hum to is wasl-e-mukarrar pe bhi khush the 'shahzad' jab ye malum tha ek aur judai doge