tah-e-daman charagh raushan hai zist meri baqa ka bachpan hai shikwa-e-zulm-o-jaur kis se karen aadmi aadmi ka dushman hai ek alaw hai ye dahakta hua tumhein jis par guman-e-gulshan hai phunk raha hai chaman chaman lekin aap farma rahe hain sawan hai kaun hasti ke silsile ko bujhae ek se ek dip raushan hai zindagi se kahan farar 'salam' sina-e-marg mein bhi dhadkan hai